Khair Chhodo, Jaane Do.

=|= (◕ᴗ◕✿) 🤍

Kehne ko toh bahut kuchh hai...

sunoge?

achha kahan se shuru kare?

jab tum beech raaste se yuhi chale gaye the...

"mere paas ab shayad waqt nahi" ye kehkar...

ya jab tum wapas aaye ek arse baad...

aur hum tumhe wapas pane ki ummid me the, khudko kho kar?

haan hume ilm hai..., tum aaye toh par poori tarah nahi...

nahi shikayat nahi hai, bas afsos hai...

shayad tumne dhyan nahi diya, par main wahi hu...

bas ek hissa jo tumhe chahta tha, woh khamosh hai...

darr lagta hai na, khud se sach bolne mein, shayad isiliye...

woh sach ke sab kuchh pehle jaisa nahi hoga...

hn koshish karo, karni bhi chahiye - jayaz hai...

par ye toh hai ke main kamzor kadi hu is masle ki...

aur jo tum tai kr chuke ho ant mein iss rishte ka, faisla wahi hoga...

lekin fir bhi rishta sirf tumse baat krne tak ka nahi tha...

balki ek ehsaas tha ki tum ho...paas na sahi - par ho...

ke main jab chahu pareshan kar sakta hu, bina parwah kiye - parwah kar sakta hu...

maaf krna itni ummeedein rakhna galat tha, khair chhodo - jaane do...

hn, toh tumne bataya nahi...kahan se shuru kare? :)

Write a comment ...

Write a comment ...

Areen Agrawal

The Twaddle on Love, Society & Sciences. (◍•ᴗ•◍)